Pages

Wednesday, June 15, 2011

Sarfarosh Dialogue in IT




Sarfarosh Dialogue in IT .....

Everyone of you may have seen the famous movie "Sarfarosh". There is a famous dialogue when Inspector Salim has to handover his all files related to a case to ACP Rathod.

These interactions are between a Junior Developer and Technical Architect. Comparing them with Sarfarosh movie's Inspector Salim and ACP Rathod. 


Well some one had sent me this mail don't know whose creativity is this but he must be some one who had gone throught that. Just posting here for fun. ;)



Architect                       : Kaise ho Junior Developer?
Junior Developer         :Thik hun Sir. Yeh document dene ke liye aaya thaa.
Architect                       : To tum is module pe kaam nahi karoge ?
Junior Developer         : Nahi Sir.
Architect                       : Aur yeh aapka faislaa hai?
Junior Developer         : Faislaa karney wala main kaun hotaa hun sir ?
Faislaa to aap bade log kartein hain.
Ek chotasa bug mere module mein nikal aataa hai, aur saarey project mein khusar pusar shuru ho jaati hai. Aur mujhe us module se hataa diya jaataa hai.
Kyun ? Kyun ke main Junior Developer hun.
Aur aaj aapka project crash ho jaata hai, koi kuch nahi bol rahaa.
Kyun, kyun ke aap Technical Architect ho. Ek badi post pe hain. Aur kisi badi company me kam kar chuke he.
Architect:                      Technical Architect. Badaa company. Aap jaante hain meri pichali company ko.
(types some url on browser and a website opens) Ye dekho ye he meri purani company. Yaha kam karata tha mein.
Jayiye puchiye waha kaise bana me Technical Architect?
bataa nahi paayenge aapko, kabhi der rat tak koi biatha nahi waha mere sath kam karate.
Aur woh, woh mera PL he, puchiye unse kaise bana wo PL bata nahi payenga.
Humdardi ke liye nahi kah rahaa hun. Lekin aap suniye.
Technical Architect banane ke liye, jee tod mehnat ki hai maine.
MBA ke liye chunaa gayaa thaa. Project Manager bankar aaraam ki jindagi guzaar saktaa thaa.
Lekin maine MCA chunaa. kadi mehnat ki. kamar tut jati thi kam karate karate, lekin kabhi kam adhura nahi cchoda. Kyun? Kyun ki har project bug free dekhnaa chaahtaa hun!
Aur main yeh aapse is liye nahi kah rahaa hun ke yeh mere ek module ka maamlaa hai. Nahi! Yeh mere project ka mamla hai.
Junior Developer         : mere project ka nahi hai?
Architect                       : shaayad nahi hai. Isi liye aap apni jimmedariyonse bhaag rahein hain.
Main is project ko apna project samajhtaa hun. Aur apnaa project bachaaney ke liye mujhe kisi Junior Developer ki jarurat nahi hai.

A Few days later:

Architect:                      Tum is module mein kya kar rahey ho Junior Developer?
Junior Developer:        kyun? Koi paabandi hai?
Isi script ko dhundh rahey ho naa aap.
Nahi mili naa. Agar mil bhi gayee to kya hoga?
Aapko to bug fix karke chahiye naa?
Yeh li jiye, Mil jaayegaa aaj.
Jaiye. Fix kar lijiye usko, script modify kar k.
Architect:                      Ruko Junior Developer. Meri baat suno.
Junior Developer:        aur kya sunayenge? Ab nahi sunugaa.
De to diya aapko bug fix karkey. Aur kya chahiye? Jaaiye bachaaiye apne project ko. Ab meri kya jarurat hai?
Architect:                      jarurat hai Junior Developer. Is project ko
bachaaney ke liye mujhe ek nahi, 10 Junior
Developer ki jarurat hai.
Junior Developer:        10 nahi sir, 10 hazaar milenge. Agar aap bharosaa
karenge to.
Meri baat suniye Sir. Phir kabhi kisi Junior Developer se mat kahnaa ye project uskaa apna project nahi.
Architect:                      nahi kahungaa, kabhi nahi kahungaa.


Thursday, June 2, 2011

Deployed my first Application on Microsoft Windows Azure

Deployed my first Application on Microsoft Windows Azure